Thursday, July 30, 2009

Bhaiyya Mere Raakhi Ke Bandhan Ko Nibhana | Raksha Bandhan Songs | Rakhi Songs


Bhaiyya Mere Raakhi Ke Bandhan Ko Nibhana | Raksha Bandhan Songs | Rakhi Songs

Bhaiyya Mere, Raakhi Ke Bandhan Ko Nibhana
bhaiyya Mere, Choti Behan Ko Na Bhulana
dekho Ye Nata Nibhana, Nibhana
bhaiyaa Mere...

ye Din Ye Tyohaar Khushi Ka, Paavan Jaise Neer Nadi Ka
bhai Ke Ujle Maathe Pe, Behan Lagaaye Mangal Tika
jhume Ye Saavan Suhana, Suhana
bhaiyya Mere ...

baandh Ke Hamne Resham Dori, Tum Se Vo Ummeed Hai Jodi
naazuk Hai Jo Kaanch Ke Jaisi, Par Jeevan Bhar Jaaye Na Todi
jaane Ye Sara Zamana, Zamana
bhaiyaa Mere ...

shaayad Vo Saavan Bhi Aaye, Jo Behna Ka Rang Na Laaye
behan Paraye Desh Basi Ho, Agar Vo Tum Tak Pahunch Na Paaye
yaad Ka Deepak Jalana, Jalana
bhaiyaa Mere ...

Tags : Bhaiyya Mere Choti Behan Ko Na Bhulana, Bhaiyya Mere Raakhi Ke Bandhan Ko Nibhana, Bhaiyya Mere Raakhi Ke Bandhan Ko Nibhana Lyrics, Rakhi Songs, Raksha Bandhan, Raksha Bandhan Songs, Songs of Raksha Bandhan